Meri Aankhon Mein Aansoo Pighalta Raha ,Chand Jalta Raha Teri Yaadon Ka Sooraj Nikalta Raha , Chand Jalta Raha
Koi Bistar Pay Shabnam Lapaitay Hoay Khawab Dekhta Raha Koi Yaadon Mein Karwat Badalta Raha, Chand Jalta Raha
Meri Aankhon Mein Sab Saatein Jaagti Hein Abhi Nehr Pay Tu Mein Saath Chalta Raha,Chand Jalta Raha
Mein Tau Yeh Jaanta Houn Jis Shab Tum Mujhay Chorr Kar Gaey Aasman Say Shaula Nikalta Raha ,Chand Jalta Raha
Raat Aai Tau Kia Kia Tamashay Hoay,Tumhein Maaloom Hay Teri Yaadon Ka Sooraj Ubalta Raha,Chand Jalta Raha
Raat Bhar Meri Palkon Ki Dehleez Par Khawab Girtay Rahay Dil Tarrapta Raha,Haath Malta Raha,Chand Jalta Raha
Aaj Bhi Woh Taqadas Bhari Raat Mehki Hoi Hay Wasi Mein Kisi Mein,Koi Mujh Mein Dhalta Raha,Chand Jalta Raha










